Maa

 

Maa;
Main roz tujhe milta hoon,
Isi jagah.

Tu roz mujhein utna hi pyaar karti hain.

Par aaj jab tu ek naye roop mein aayi,
To main tujhe pehchan na paaya.

Par tune utne hi pyaar se mujhe pukara,
Aur mujhe utna hi dular kiya.

Maa, mujhe maaf karna ki main tere jitna pyaar na kar paunga,
Par koshish zarur karunga;
Tere jitna niswarth banne ki.

– Ankur Mondal

Leave a comment