Woh mulakat aaj bhi ek sapne jaisa lagta hain.
Us shaam woh dabe paon,
Chupke se mere kinare aake baitha.
Uski muskurahat ne mere sapne ko hakikat ka jama pehna diya tha,
Ek untarashe chehre ko tarashke meri aankhon ke samne bitha diya.
Woh mulaqat aaj bhi ek sapne jaisa lagta hain.
Meri aakhe ek tak use dekhti rahi,
Us pal mein aise khoya,
Ki chahke bhi uski baatein unsuni hone lagi.
Us din aisa laga ki Sapna bhi haqiqat ka roop le sakta hain.
Aur aaj bhi jab uski yaad aati hain yeah dil kehta hai,
Are pagal woh to sapna tha,
Tu jab chahte use jee sakta hain.
Woh mulaqat such mein, aaj bhi ek sapne jaisa lagta hain.
– Ankur Mondal
